mujhse mat puchh yar ki baaten
mujh se mat pūchh yaar kī bāteñ
qatl kartī haiñ pyaar kī bāteñ
rote-rote hue haiñ chashm safed
kyā kahūñ intizār kī bāteñ
kyuuñ kī saudā na ho sunūñ jo maiñ
turra-e-tābdār kī bāteñ
Tuk to apne sulūk ko dekho
ye haiñ qaul-o-qarār kī bāteñ
kaan gulzār ke nahīñ bahre
sunte haiñ vo hazār kī bāteñ
'ishq' beshubha terī ḳhātir se
sunte haiñ sau hazār kī bāteñ
mujh se mat puchh yar ki baaten
qatl karti hain pyar ki baaten
rote-rote hue hain chashm safed
kya kahun intizar ki baaten
kyun ki sauda na ho sunun jo main
turra-e-tabdar ki baaten
Tuk to apne suluk ko dekho
ye hain qaul-o-qarar ki baaten
kan gulzar ke nahin bahre
sunte hain wo hazar ki baaten
'ishq' beshubha teri KHatir se
sunte hain sau hazar ki baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.