KHud ko zalil-o-KHwar kiya haye kya kiya
ḳhud ko zalīl-o-ḳhvār kiyā haaye kyā kiyā
duniyā kā e'tibār kiyā haaye kyā kiyā
mahshar kā intizār kiyā haaye kyā kiyā
va.ade pe e'tibār kiyā haaye kyā kiyā
likh kar mire nasīb meñ sahrā-navardiyāñ
phir vāqif-e-bahār kiyā haaye kyā kiyā
kuchh kajravoñ ne sabza-e-ḳhvābīda rauñd kar
fitne ko hoshiyār kiyā haaye kyā kiyā
is dil ko jis meñ tere karam kā zuhūr thā
mohtāj-e-roz-gār kiyā haaye kyā kiyā
KHud ko zalil-o-KHwar kiya haye kya kiya
duniya ka e'tibar kiya haye kya kiya
mahshar ka intizar kiya haye kya kiya
wade pe e'tibar kiya haye kya kiya
likh kar mere nasib mein sahra-nawardiyan
phir waqif-e-bahaar kiya haye kya kiya
kuchh kajrawon ne sabza-e-KHwabida raund kar
fitne ko hoshiyar kiya haye kya kiya
is dil ko jis mein tere karam ka zuhur tha
mohtaj-e-roz-gar kiya haye kya kiya
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 87)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.