Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

KHabar kya chaara-gar aae na aae

Bismil Lakhnavi

KHabar kya chaara-gar aae na aae

Bismil Lakhnavi

MORE BYBismil Lakhnavi

    ḳhabar kyā chāra-gar aa.e na aa.e

    qazā bhī vaqt par aa.e na aa.e

    shab-e-ġham sahar aa.e na aa.e

    sitāra auj par aa.e na aa.e

    hai dil ko hasrat-e-dīdār jānāñ

    in āñkhoñ se nazar aa.e na aa.e

    giraftār bulā.e shām-e-ġham haiñ

    nazar nūr-e-sahar aa.e na aa.e

    hamārī zindagī meñ roz-e-mahshar

    kisī ko kyā ḳhabar aa.e na aa.e

    sharīk-e-hāl bismil hai vo hamdam

    nazar ḳhūn-e-jigar aa.e na aa.e

    KHabar kya chaara-gar aae na aae

    qaza bhi waqt par aae na aae

    shab-e-gham ki sahar aae na aae

    sitara auj par aae na aae

    hai dil ko hasrat-e-didar jaanan

    in aankhon se nazar aae na aae

    giraftar bulae sham-e-gham hain

    nazar nur-e-sahar aae na aae

    hamari zindagi mein roz-e-mahshar

    kisi ko kya KHabar aae na aae

    sharik-e-haal bismil hai wo hamdam

    nazar KHun-e-jigar aae na aae

    Source :
    • Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 89)
    • Author : Irfan Abbasi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now