yaad kab teri hamein ai dilbar-e-jaan na rahi
yaad kab terī hameñ ai dilbar-e-jāñ na rahī
ḳhaak jab tak na huī jaañ misl-e-parvāna rahī
shīsha-e-dil meñ utar aayā parī-paikar kā husn
aañkh makHmūr-e-sharāb-e-chashm-e-jānāna rahī
rāz-e-vaj.hullāh jis par āshkāra ho gayā
dair-o-kā'ba kī use phir koī parvā na rahī
sar meñ saudā us but-e-tannāz kā jab se huā
bahkī bahkī sī tabī'at apnī rozāna rahī
'ishq saarī zindagī ko khā gaayā us shauq kā
zindagī kyā zindagī bas ek afsānā rahī
sāheb-ul-barkāt ke zariye hue haiñ qādrī
roz-e-mahshar kī ‘muzammil’ koī parvā na rahī
yaad kab teri hamein ai dilbar-e-jaan na rahi
KHak jab tak na hui jaan misl-e-parwana rahi
shisha-e-dil mein utar aaya pari-paikar ka husn
aankh makHmur-e-sharab-e-chashm-e-jaanana rahi
raaz-e-wajhullah jis par aashkara ho gaya
dair-o-ka'ba ki use phir koi parwa na rahi
sar mein sauda us but-e-tannaz ka jab se hua
bahki bahki si tabi'at apni rozana rahi
'ishq sari zindagi ko kha gaya us shauq ka
zindagi kya zindagi bas ek afsana rahi
saheb-ul-barkat ke zariye hue hain qadri
roz-e-mahshar ki ‘muzammil’ koi parwa na rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.