hai bayaban mein to koi anjuman mein mast hai
hai bayābāñ meñ to koī anjuman meñ mast hai
terā dīvāna har ik dīvāne-pan meñ mast hai
mast haiñ ham tavāf-e-rū-e-yār meñ sub.h-o-masā
shaiḳh masjid meñ to mandir meñ barahman mast hai
kūcha-e-qātil banā hai raqs-gāh-e-’āshiqāñ
koī bismil hai koī dār-o-rasan meñ mast hai
'ishq meñ tere judāgāna phirā karte haiñ sab
mai-kade meñ rind phirtā qais ban meñ mast hai
chain jo lene nahīñ detī hai musht-e-ḳhāk ko
koī to shai hai jo khākī pairahan meñ mast hai
maiñ ‘muzammil’ mast huuñ mai-kHāna-e-barkāt meñ
dahr meñ har koī apnī anjuman meñ mast hai
hai bayaban mein to koi anjuman mein mast hai
tera diwana har ek diwane-pan mein mast hai
mast hain hum tawaf-e-ru-e-yar mein subh-o-masa
shaiKH masjid mein to mandir mein barahman mast hai
kucha-e-qatil bana hai raqs-gah-e-’ashiqan
koi bismil hai koi dar-o-rasan mein mast hai
'ishq mein tere judagana phira karte hain sab
mai-kade mein rind phirta qais ban mein mast hai
chain jo lene nahin deti hai musht-e-KHak ko
koi to shai hai jo khaki pairahan mein mast hai
main ‘muzammil’ mast hun mai-kHana-e-barkat mein
dahr mein har koi apni anjuman mein mast hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.