abhi rakhti nahin tasir wo aah-o-fughan apni
abhī rakhtī nahīñ tāsīr vo āh-o-fuġhāñ apnī
hilā paa.e jo dil unkā kahāñ vo dāstāñ apnī
na jaane kab taras āye.gā unko merī hālat par
kiye jaatā hai jo bhī chāhtā hai āsmāñ apnī
merī barbādiyoñ kī ḳhuub shohrat ho ga.ī jag meñ
kare ab naaz qismat par tumhārā āstāñ apnī
jahāñ tak phūñknā chāho ho phūñko sab tumhārā hai
na merā āshiyāñ apnā na merī bijliyāñ apnī
lahad meñ dāġh-e-hasrat merā mere saath jā.egā
farishte phuuT kar ro.eñ suneñ gar dāstāñ apnī
jama’-ḳhātir rakho tum hashr meñ bhī surḳh-rū hoge
nahīñ kholūñgā mahshar meñ merī jaañ maiñ zabāñ apnī
tumhārī hī nazar se hai bharam donoñ jahānoñ meñ
nazar mat pher lenā mujh se mere mehrbāñ apnī
kahūñ kaise ye kis ke haath dil neñ zaḳhm khaa.e haiñ
‘muzammil’ un kī rusvā.ī meñ haiñ rusvā.iyāñ apnī
abhi rakhti nahin tasir wo aah-o-fughan apni
hila pae jo dil unka kahan wo dastan apni
na jaane kab taras aayega unko meri haalat par
kiye jata hai jo bhi chahta hai aasman apni
meri barbaadiyon ki KHub shohrat ho gai jag mein
kare ab naz qismat par tumhaara aastan apni
jahan tak phunkna chaho ho phunko sab tumhaara hai
na mera aashiyan apna na meri bijliyan apni
lahad mein dagh-e-hasrat mera mere sath jaega
farishte phuT kar roen sunen gar dastan apni
jama’-KHatir rakho tum hashr mein bhi surKH-ru hoge
nahin kholunga mahshar mein meri jaan main zaban apni
tumhaari hi nazar se hai bharam donon jahanon mein
nazar mat pher lena mujh se mere mehrban apni
kahun kaise ye kis ke hath dil nen zaKHm khae hain
‘muzammil’ un ki ruswai mein hain ruswaiyan apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.