dard-e-dil ab KHuda kare ki na ho
dard-e-dil ab ḳhudā kare ki na ho
koī aisā davā kare ki na ho
tum salāmat raho qayāmat tak
aur qayāmat ḳhudā kare ki na ho
hashr ke rose vo bhī haiñ ham bhī
koī jhagḌā ḳhudā kare ki na ho
vasl kā intizār hī achchhā
ye to 'muztar' ḳhudā kare ki na ho
dard-e-dil ab KHuda kare ki na ho
koi aisa dawa kare ki na ho
tum salamat raho qayamat tak
aur qayamat KHuda kare ki na ho
hashr ke rose wo bhi hain hum bhi
koi jhagDa KHuda kare ki na ho
wasl ka intizar hi achchha
ye to 'muztar' KHuda kare ki na ho
- Book : Khirman Part 1 (Pg. 224)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Ahmad (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.