bata sayyaad kis Dali pe apna aashiyan rakkhun
batā sayyād kis Daalī pe apnā āshiyāñ rakkhūñ
ba-mushkil chaar tinke chun ke laayā huuñ kahāñ rakkhūñ
zarā sā dil hai maiñ kis kis ko yā-rab mehmāñ rakkhūñ
ḳhayāl-e-dostāñ rakkhūñ ki rañj-e-dushmanāñ rakkhūñ
mohabbat meñ judā.ī kā mazā 'muztar' na jaane duuñ
vo bulbul huuñ ki gul pā.ūñ to pattā darmiyāñ rakkhūñ
bata sayyaad kis Dali pe apna aashiyan rakkhun
ba-mushkil chaar tinke chun ke laya hun kahan rakkhun
zara sa dil hai main kis kis ko ya-rab mehman rakkhun
KHayal-e-dostan rakkhun ki ranj-e-dushmanan rakkhun
mohabbat mein judai ka maza 'muztar' na jaane dun
wo bulbul hun ki gul paun to patta darmiyan rakkhun
- Book : Khirman Part - 2 (Pg. 326)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.