na aae kaam kisi ke jo zindagi kya hai
na aa.e kaam kisī ke jo zindagī kyā hai
bashar-navāz na ho jo vo aadmī kyā hai
zamāna-sāz haiñ jo vo haiñ maslahat-andesh
jo ho ḳhulūs se aa’rī vo dostī kyā hai
pasaz vafāt na leñ jis kā naam us ke aziiz
tavañgarī hai agar ye to muflisī kyā hai
karo na dast-darāzī ḳhudā ke bandoñ par
hai naam us kā shujā.at to buzdilī kyā hai
haqīqī dostī vo hai ho jis meñ josh-o-ḳharosh
nashāt-e-rūh na ho jis meñ ḳhush-dilī kyā hai
azīz-tar haiñ mujhe ḳhud se bhī hasan chishtī
batā.ūñ aap ko kyā banda-parvarī kyā hai
na ho jo qārī-o-sāme.a pe kuchh asar-andāz
fareb-e-mahz hai 'barqī' vo shā.irī kyā hai
na aae kaam kisi ke jo zindagi kya hai
bashar-nawaz na ho jo wo aadmi kya hai
zamana-saz haiñ jo wo hain maslahat-andesh
jo ho KHulus se aa’ri wo dosti kya hai
pasaz wafat na len jis ka nam us ke aziz
tawangari hai agar ye to muflisi kya hai
karo na dast-daraazi KHuda ke bandon par
hai nam us ka shujaat to buzdili kya hai
haqiqi dosti wo hai ho jis mein josh-o-KHarosh
nashat-e-ruh na ho jis mein KHush-dili kya hai
aziz-tar haiñ mujhe KHud se bhi hasan chishti
bataun aap ko kya banda-parwari kya hai
na ho jo qari-o-samea pe kuchh asar-andaz
fareb-e-mahz hai 'barqi' wo shairi kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.