Sufinama

na adā mujhse huā us sitam-ījād kā haq

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

na adā mujhse huā us sitam-ījād kā haq

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi

    na adā mujh se huā us sitam-ījād haq

    merī gardan pe rahā ḳhanjar-e-bedād haq

    nāseho gar na sunūñ maiñ mirī qismat qusūr

    tum ne irshād kiyā jo ki hai irshād haq

    yaad to haq tujhe yaad par yaad rahī

    yaar dushvār hai vo yaad jo hai yaad haq

    apnī tasvīr pe sadqe tire sadqe kar use

    isī sūrat se adā hovegā bahzād haq

    haq ko bātil koī kis tarah se kah de ai but

    kahīñ saanī nahīñ us husn-e-ḳhudā-dād haq

    jāñ-kanī pesha ho jis vo lahaq hai terā

    tujh pe shīrīñ hai na ḳhusrav na farhād haq

    bār-e-ehsāñ se nahīñ sar bhī uThā saktā huuñ

    mere sar par rahā us mire jallād haq

    sun ke kahtā hai yahāñ kaun hai suntā mat sun

    sunñe vaalā sunā is mirī fariyād haq

    vahī insān hai 'ehsāñ' ki jise ilm hai kuchh

    haq ye hai baap se afzūñ rahe ustād haq

    na adā mujh se huā us sitam-ījād haq

    merī gardan pe rahā ḳhanjar-e-bedād haq

    nāseho gar na sunūñ maiñ mirī qismat qusūr

    tum ne irshād kiyā jo ki hai irshād haq

    yaad to haq tujhe yaad par yaad rahī

    yar dushwār hai wo yaad jo hai yaad haq

    apnī taswīr pe sadqe tere sadqe kar use

    isī sūrat se adā howegā bahzād haq

    haq ko bātil koī kis tarah se kah de ai but

    kahīñ sanī nahīñ us husn-e-ḳhudā-dād haq

    jāñ-kanī pesha ho jis wo lahaq hai terā

    tujh pe shīrīñ hai na ḳhusraw na farhād haq

    bār-e-ehsāñ se nahīñ sar bhī uThā saktā huñ

    mere sar par rahā us mere jallād haq

    sun ke kahtā hai yahāñ kaun hai suntā mat sun

    sunñe walā sunā is mirī fariyād haq

    wahī insān hai 'ehsāñ' ki jise ilm hai kuchh

    haq ye hai bap se afzūñ rahe ustād haq

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Ehsan
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now