Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

na dair meñ na haram meñ jabīñ jhukī hogī

Fana Bulandshahri

na dair meñ na haram meñ jabīñ jhukī hogī

Fana Bulandshahri

MORE BYFana Bulandshahri

    na dair meñ na haram meñ jabīñ jhukī hogī

    tumhāre dar pe adā merī bandagī hogī

    nigāh-e-yār mirī samt phir uThī hogī

    sambhal sakūñgā na maiñ aisī ye be-ḳhudī hogī

    nigāh pher ke to rahā hai lekin

    tire baġhair basar kaise zindagī hogī

    kisī tarah bhī piyeñ ham ġharaz hai piine se

    nahīñ hai jaam to āñkhoñ se mai-kashī hogī

    tamām hosh duniyā nisār hai us par

    tirī galī meñ jise niiñd aa ga.ī hogī

    guzar jā.egā duniyā se be-talab ho kar

    tire ḳhayāl se jis dil ko dostī hogī

    jamāl-e-yār pe yuuñ jaañ nisār kartā huuñ

    fanā ke ba.ad 'fanā' ghar meñ raushnī hogī

    na dair meñ na haram meñ jabīñ jhukī hogī

    tumhāre dar pe adā merī bandagī hogī

    nigāh-e-yār mirī samt phir uThī hogī

    sambhal sakūñgā na maiñ aisī ye be-ḳhudī hogī

    nigāh pher ke to rahā hai lekin

    tere baġhair basar kaise zindagī hogī

    kisī tarah bhī piyeñ hum ġharaz hai pine se

    nahīñ hai jam to āñkhoñ se mai-kashī hogī

    tamām hosh duniyā nisār hai us par

    tirī galī meñ jise niñd aa gaī hogī

    guzar jāegā duniyā se be-talab ho kar

    tere ḳhayāl se jis dil ko dostī hogī

    jamāl-e-yār pe yuñ jañ nisār kartā huñ

    fanā ke baad 'fanā' ghar meñ raushnī hogī

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now