na faqat yar bin sharab hai talKH
na faqat yaar bin sharāb hai talḳh
aish-o-ārām-o-ḳhurd-o-ḳhvāb hai talḳh
mīThī bāteñ kidhar ga.iiñ pyāre
ab to har baat kā javāb hai talḳh
saath denā ye bosa-o-dushnām
qand shīrīñ hai aur gulāb hai talḳh
dil hī samjhe hai is halāvat ko
go ba-zāhir tirā itaab hai talḳh
dil se mastoñ ke koī pūchhe 'bayāñ'
zāhidoñ ko sharāb-e-nāb hai talḳh
na faqat yar bin sharab hai talKH
aish-o-aram-o-KHurd-o-KHwab hai talKH
miThi baaten kidhar gain pyare
ab to har baat ka jawab hai talKH
sath dena ye bosa-o-dushnam
qand shirin hai aur gulab hai talKH
dil hi samjhe hai is halawat ko
go ba-zahir tera itab hai talKH
dil se maston ke koi puchhe 'bayan'
zahidon ko sharab-e-nab hai talKH
- Book : Diwan-e-Bayan Edited: Arjumand Ara (Pg. 93)
- Author : Ahsanullaah Khan Bayan
- Publication : Anjumat Taraqqi Urdu (Hind) New Delhi (2004)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.