na ġham-e-dil na fikr-e-jāñ hai yaad
na ġham-e-dil na fikr-e-jāñ hai yaad
ek terī hī bar zabāñ hai yaad
thā jo kuchh vāda-e-vafā ham se
kuchh bhī vo tum ko mehrbāñ hai yaad
agle milne kī tarah bhuul ga.e
kyā batā.ūñ tumheñ kahāñ hai yaad
huuñ maiñ pāband-e-ulfat-e-sayyād
kab mujhe bāġh-o-bostāñ hai yaad
mahv tere hī rū-o-zulf ke haiñ
na hameñ vo na ye jahāñ hai yaad
dīda-o-dil meñ tū hī bastā hai
tujh sivā kis kī aur yaañ hai yaad
aur kuchh aarzū nahīñ 'bedār'
ek us kī hī jāvedāñ hai yaad
na ġham-e-dil na fikr-e-jāñ hai yaad
ek terī hī bar zabāñ hai yaad
thā jo kuchh wāda-e-wafā hum se
kuchh bhī wo tum ko mehrbāñ hai yaad
agle milne kī tarah bhul gae
kyā batāūñ tumheñ kahāñ hai yaad
huñ maiñ pāband-e-ulfat-e-sayyād
kab mujhe bāġh-o-bostāñ hai yaad
mahw tere hī rū-o-zulf ke haiñ
na hameñ wo na ye jahāñ hai yaad
dīda-o-dil meñ tū hī bastā hai
tujh siwā kis kī aur yañ hai yaad
aur kuchh aarzū nahīñ 'bedār'
ek us kī hī jāwedāñ hai yaad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.