na parwana hun sham-e-anjuman ka
na parvāna huuñ sham’-e-anjuman kā
na dīvāna huuñ bulbul-sā chaman kā
vo gore muñh ke aage ho gayā ḳhaar
jo gul phūlā chaman meñ yāsman kā
mirā dil jaane yā dil us kā jaane
kahūñ kis se maiñ apnā bhed man kā
anā rab ek bolā ek anal-haq
paḌā donoñ meñ qissa mā-o-man kā
'turāb' us se anā sarzad kahāñ ho
jo afsar ho sharī.at ke tuman kā
na parwana hun sham’-e-anjuman ka
na diwana hun bulbul-sa chaman ka
wo gore munh ke aage ho gaya KHar
jo gul phula chaman mein yasman ka
mera dil jaane ya dil us ka jaane
kahun kis se main apna bhed man ka
ana rab ek bola ek anal-haq
paDa donon mein qissa ma-o-man ka
'turab' us se ana sarzad kahan ho
jo afsar ho shariat ke tuman ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.