na aaya hun na main laya gaya hun
na aayā huuñ na maiñ laayā gayā huuñ
maiñ harf-e-kun huuñ farmāyā gayā huuñ
mirī apnī nahīñ hai koī sūrat
har ik sūrat se bahlāyā gayā huuñ
bahut badle mire andāz lekin
jahāñ khoyā vahīñ paayā gayā huuñ
vajūd-e-ġhair ho kaise gavārā
tirī rāhoñ meñ be-sāya gayā huuñ
na jaane kaun sī manzil hai 'vāsif'
jahāñ nahlā ke bulvāyā gayā huuñ
na aaya hun na main laya gaya hun
main harf-e-kun hun farmaya gaya hun
meri apnī nahin hai koi surat
har ek surat se bahlaya gaya hun
bahut badle mere andaz lekin
jahan khoya wahin paya gaya hun
wajud-e-ghair ho kaise gawara
teri rahon mein be-saya gaya hun
na jaane kaun si manzil hai 'wasif'
jahan nahla ke bulwaya gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.