waraftagi-e-shauq meri zindagi mein hai
vāraftagī-e-shauq mirī zindagī meñ hai
ik lazzat-e-hayāt tirī bandagī meñ hai
haañ ye hī hai tarīqa-e-izhār-e-dil-barī
ek iltifāt-e-yār uisī kaj-ravī meñ hai
gauhar kalī pe sabt hai mohr-e-kHazāñ to kyā
rañgīnī-e-chaman isī āzurdagī meñ hai
hañgāma-e-tarab kī vo rañgīniyāñ na pūchh
ik lutfe-anjuman isī shorīdgī meñ hai
tārīkī-e-hayāt se ghabrā na ai 'nadīm'
tābiñdagī-e-subh isī tīrgī meñ hai
waraftagi-e-shauq meri zindagi mein hai
ek lazzat-e-hayat teri bandagi mein hai
han ye hi hai tariqa-e-izhaar-e-dil-bari
ek iltifat-e-yar uisi kaj-rawi mein hai
gauhar kali pe sabt hai mohr-e-kHazan to kya
rangini-e-chaman isi aazurdagi mein hai
hangama-e-tarab ki wo ranginiyan na puchh
ek lutfe-anjuman isi shoridgi mein hai
tariki-e-hayat se ghabra na ai 'nadim'
tabindagi-e-subh isi tirgi mein hai
- Book : Dabistan-E-Azimabad (Pg. 117)
- Publication : Nikhar Press, Mau Nath Bhanjan (1982)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.