junun mein ab ye aalam ho gaya hai
junūñ meñ ab ye a.alam ho gayā hai
ki dil parvardā-e-ġham ho gayā hai
mirā dard-e-jigar had se guzar kar
mare zaḳhmoñ kā marham ho gayā hai
mirī gardan jhukī thī maslahat se
vo ye samjhe ki sar ḳham ho gayā hai
jo kal nañg-e-masīhā.ī thā nādim
vahī aaj ibn-e-mariyam ho gayā hai
junun mein ab ye aalam ho gaya hai
ki dil parwarda-e-gham ho gaya hai
mera dard-e-jigar had se guzar kar
mare zaKHmon ka marham ho gaya hai
meri gardan jhuki thi maslahat se
wo ye samjhe ki sar KHam ho gaya hai
jo kal nang-e-masihai tha nadim
wahi aaj ibn-e-mariyam ho gaya hai
- Book : Tazkira Muslim shora-e-Bihar-Voll.5 (Pg. 5)
- Author : Hakeem Syed Ahmadullah Nadwi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.