sitam ki mashq hum ahl-e-junun par jis qadar hogi
sitam kī mashq ham ahl-e-junūñ par jis qadar hogī
mohabbat aur bhī dil meñ hamāre jalva-gar hogī
kahāñ tak husn se jhūTī mohabbat kār-gar hogī
ḳhirad vaalo ḳhudī hī ab hamārī rāhbar hogī
azal se hī tazād-e-nūr-o-zulmat kār-farmā hai
ye duniyā tā-abad vaqf-e-kHayāl-e-kHair-o-shar hogī
sitam ki mashq hum ahl-e-junun par jis qadar hogi
mohabbat aur bhi dil mein hamare jalwa-gar hogi
kahan tak husn se jhuTi mohabbat kar-gar hogi
KHirad walo KHudi hi ab hamari rahbar hogi
azal se hi tazad-e-nur-o-zulmat kar-farma hai
ye duniya ta-abad waqf-e-kHayal-e-kHair-o-shar hogi
- Book : Tazkira Muslim shora-e-Bihar-Voll.5 (Pg. 6)
- Author : Hakeem Syed Ahmadullah Nadwi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.