miliye ek din to kahin aashiq-e-nakaam se aap
miliye ik din to kahīñ āshiq-e-nākām se aap
kitnā dil bahlā.iyegā nāma-o-paiġhām se aap
dil ko ro.uuñ shab-e-ġham meñ ki jigar ko pīTūñ
ḳhush haiñ kis amr meñ is āshiq-e-nākām se aap
dil lagāte to haiñ pachhtā.iyegā ai 'nayyar'
nahīñ vāqif haiñ abhī ishq ke anjām se aap
miliye ek din to kahin aashiq-e-nakaam se aap
kitna dil bahlaiyega nama-o-paigham se aap
dil ko roun shab-e-gham mein ki jigar ko piTun
KHush hain kis amr mein is aashiq-e-nakaam se aap
dil lagate to hain pachhtaiyega ai 'nayyar'
nahin waqif hain abhi ishq ke anjam se aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.