dur jate bhi nahin pas bulate bhi nahin
duur jaate bhī nahīñ paas bulāte bhī nahīñ
rahm us haal pe mere kabhī khāte bhī nahīñ
tujh pe har aan jo rahte the fidā ai pyāre
vaqt badlā hai ab aisā ki satāte bhī nahīñ
merā ḳhāliq hai vo mālik hai vahī sab kuchh hai
illā us ke to kahīñ sar ye jhukāte bhī nahīñ
pahle thā apnā Thikāna usī kūche meñ 'naqīb'
haal ab aisā huā hai kabhī jaate bhī nahīñ
dur jate bhi nahin pas bulate bhi nahin
rahm us haal pe mere kabhi khate bhi nahin
tujh pe har aan jo rahte the fida ai pyare
waqt badla hai ab aisa ki satate bhi nahin
mera KHaliq hai wo malik hai wahi sab kuchh hai
illa us ke to kahin sar ye jhukate bhi nahin
pahle tha apna Thikana usi kuche mein 'naqib'
haal ab aisa hua hai kabhi jate bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.