Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

nashshe meñ jī chāhtā hai bosa-bāzī kījiye

Meer Muhammad Bedar

nashshe meñ jī chāhtā hai bosa-bāzī kījiye

Meer Muhammad Bedar

MORE BYMeer Muhammad Bedar

    nashshe meñ chāhtā hai bosa-bāzī kījiye

    itnī ruḳhsat dījiye banda-navāzī kījiye

    chāhiye jo kuchh so ho pahle sajde meñ husūl

    aap ko gar ka.aba-e-dil namāzī kījiye

    jis ne ik jalva ko dekhā diyā parvāna-vār

    is qadar ai sham.a-rūyāñ husn-sāzī kījiye

    nardbāñ kahte haiñ hai bām-e-haqīqat majāz

    chand roz is vāste ishq-e-majāzī kījiye

    ḳhvāhish-e-raushan-dilī gar hove shab se tā-sahar

    sham.a-sāñ 'bedār' ro ro jāñ-gudāzī kījiye

    nashshe meñ chāhtā hai bosa-bāzī kījiye

    itnī ruḳhsat dījiye banda-nawāzī kījiye

    chāhiye jo kuchh so ho pahle sajde meñ husūl

    aap ko gar kaba-e-dil namāzī kījiye

    jis ne ek jalwa ko dekhā diyā parwāna-wār

    is qadar ai shama-rūyāñ husn-sāzī kījiye

    nardbāñ kahte haiñ hai bām-e-haqīqat majāz

    chand roz is wāste ishq-e-majāzī kījiye

    ḳhwāhish-e-raushan-dilī gar howe shab se tā-sahar

    shama-sāñ 'bedār' ro ro jāñ-gudāzī kījiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now