nau-asir-e-furqat hun wasl-e-yar mujhse puchh
Interesting Fact
(شاعر۔ آگرہ ، جنوری ۱۹۳۸ ء)
nau-asīr-e-furqat huuñ vasl-e-yār mujh se pūchh
ho ga.ī ḳhizāñ dam meñ sab bahār mujh se pūchh
ḳhvāb hai na bedārī shukr hai na hoshiyārī
lutf-e-lazzat-e-kaif-e-be-ḳhumār mujh se pūchh
haaye maiñ na kahtā thā muft rā.egāñ hogā
kū-e-yār kā rasta ai ġhubār mujh se pūchh
nīstī huī hastī auj ban ga.ī pastī
hoshiyārī-o-mastī bāda-ḳhvār mujh se pūchh
merī ma.asiyat-koshī yaar kī ḳhatā-poshī
apnī ḳhud-farāmoshī ai 'nisār' mujh se pūchh
nau-asir-e-furqat hun wasl-e-yar mujh se puchh
ho gai KHizan dam mein sab bahaar mujh se puchh
KHwab hai na bedari shukr hai na hoshiyari
lutf-e-lazzat-e-kaif-e-be-KHumar mujh se puchh
haye main na kahta tha muft raegan hoga
ku-e-yar ka rasta ai ghubar mujh se puchh
nisti hui hasti auj ban gai pasti
hoshiyari-o-masti baada-KHwar mujh se puchh
meri masiyat-koshi yar ki KHata-poshi
apni KHud-faramoshi ai 'nisar' mujh se puchh
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 144)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.