tore rup anup ne salle-ala sab chhin liyo sudh-budh hamri
tore rup anup ne salle-ala sab chhin liyo sudh-budh hamri
Naza'n Sholapuri
MORE BYNaza'n Sholapuri
tore ruup anuup ne salle-alā sab chhīn liyo sudh-budh hamrī
dil mohe ga.ī man har lenī tore nain bharī kajrī kajrī
ākāsh ke saato paaT ga.ī dhartī par har-har ghaaT ga.ī
kahīñ khoj na paa.ī joganiyā tohe DhūñD phiri nagrī nagrī
val-fajr kī raunaq mukhḌe pe laulāk lamā sar sehrā
vallail kī ḳhushbū zulfan meñ mā-zāġh kī nainan meñ kajrī
ham ummatī ban ke tuhār aa.e bigḌī ko azal se sañvār aa.e
ham tumre bha.e tum hamre bha.e jab priit bha.ī hamrī tumrī
kausar kī niir meñ dhulvā kar rañg apnī priit kā chaḌhvā kar
tum rañg do chunariyā 'nāzāñ' kī vo oḌh phire nagrī nagrī
tore rup anup ne salle-ala sab chhin liyo sudh-budh hamri
dil mohe gai man har leni tore nain bhari kajri kajri
aakash ke sato paT gai dharti par har-har ghaT gai
kahin khoj na pai joganiya tohe DhunD phiri nagri nagri
wal-fajr ki raunaq mukhDe pe laulak lama sar sehra
wallail ki KHushbu zulfan mein ma-zagh ki nainan mein kajri
hum ummati ban ke tuhaar aae bigDi ko azal se sanwar aae
hum tumre bhae tum hamre bhae jab prit bhai hamri tumri
kausar ki nir mein dhulwa kar rang apni prit ka chaDhwa kar
tum rang do chunariya 'nazan' ki wo oDh phire nagri nagri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.