kis ki chashm-e-mast ne is dil ko mastana kiya
kis kī chashm-e-mast ne is dil ko mastāna kiyā
zāhid-e-'uzlat-nashīñ ko rañg-e-mai-kHāna kiyā
zāhido sau baar ham to baay mardāna kiyā
nargis-e-maḳhmūr ne phir sū-e-mai-ḳhāna kiyā
haaye kis jaadū nigah ne dil ko dīvāna kiyā
āshnā ko mere ham se aaj begāna kiyā
ḳhalq meñ badnām ai dil ham tire bā'is hue
rāz-e-poshīda ko mere tū ne afsāna kiyā
nargis-e-paimāna-e-sāqī se to thī hī be-ḳhudī
kākul-e-mushkīñ ne us ke aur dīvāna kiyā
mushfiq az mādar pidar mere nabī ne lutfahā
'ne'matī' par besh az altāf-e-pidarāna kiyā
kis ki chashm-e-mast ne is dil ko mastana kiya
zahid-e-'uzlat-nashin ko rang-e-mai-kHana kiya
zahido sau bar hum to bay mardana kiya
nargis-e-maKHmur ne phir su-e-mai-KHana kiya
haye kis jadu nigah ne dil ko diwana kiya
aashna ko mere hum se aaj begana kiya
KHalq mein badnam ai dil hum tere ba'is hue
raaz-e-poshida ko mere tu ne afsana kiya
nargis-e-paimana-e-saqi se to thi hi be-KHudi
kakul-e-mushkin ne us ke aur diwana kiya
mushfiq az madar pidar mere nabi ne lutfaha
'ne'mati' par besh az altaf-e-pidarana kiya
- Book : Al-Mujeeb, Phulwari Sharif (Pg. 38)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.