hai sahra-e-junun ek jalwa-zar-e-husn-e-yaktai
hai sahrā-e-junūñ ik jalva-zār-e-husn-e-yaktā.ī
tamāsha ham tamāshā-gar bhī ham ham hī tamāshā.ī
alag hī rakh shab furqat ke sannāTe se dil apnā
sharīk-e-ġham na ho jaa.e kahīñ zālim ye tanhā.ī
agar āzād rahnā hai to aa sahrā-e-vahshat meñ
yahāñ paatī nahīñ hai daḳhl mahkūmī-o-dārā.ī
sukūñ kī aas meñ martā hai lekin soch to ai dil
payām-e-maut hai tere liye sa.ī-e-shakebā.ī
ye maanā ashk afshānī se ho jaate haiñ ġhair apne
magar ai dost rusvā.ī bahar-sūrat hai rusvā.ī
savā.e ḳhār-e-sahrā aur koī kar nahīñ saktā
baḌī nāzuk haqīqat hai mohabbat kī pazīrā.ī
'niyāz' is raah meñ lākhoñ miTe haiñ kārvāñ lekin
tamannā kī na ab tak manzil-e-takmīl haath aa.ī
hai sahra-e-junun ek jalwa-zar-e-husn-e-yaktai
tamasha hum tamasha-gar bhi hum hum hi tamashai
alag hi rakh shab furqat ke sannaTe se dil apna
sharik-e-gham na ho jae kahin zalim ye tanhai
agar aazad rahna hai to aa sahra-e-wahshat mein
yahan pati nahin hai daKHl mahkumi-o-darai
sukun ki aas mein marta hai lekin soch to ai dil
payam-e-maut hai tere liye sai-e-shakebai
ye mana ashk afshani se ho jate hain ghair apne
magar ai dost ruswai bahar-surat hai ruswai
sawae KHar-e-sahra aur koi kar nahin sakta
baDi nazuk haqiqat hai mohabbat ki pazirai
'niyaz' is rah mein lakhon miTe hain karwan lekin
tamanna ki na ab tak manzil-e-takmil hath aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.