ai sanam bahr-e-KHuda parda uTha de aa ja
ai sanam bahr-e-ḳhudā parda uThā de aa jā
apne dīvāne ko dīdār dikhā de aa jā
roz-o-shab rotā huuñ furqat meñ pyāre nabī
ab suḳhan bol mohabbat kā hañsā de aa jā
dil to pāband huā zulf-e-siyāh meñ terī
sadqa-e-husn-e-azal us ko rihā de aa jā
maiñ bhī maujūd aur jām-o-surāhī donoñ
apne hāthoñ se zarā bha ke pilā de aa jā
ai sanam bahr-e-KHuda parda uTha de aa ja
apne diwane ko didar dikha de aa ja
roz-o-shab rota hun furqat mein pyare nabi
ab suKHan bol mohabbat ka hansa de aa ja
dil to paband hua zulf-e-siyah mein teri
sadqa-e-husn-e-azal us ko riha de aa ja
main bhi maujud aur jam-o-surahi donon
apne hathon se zara bha ke pila de aa ja
- Book : Kalam-e-Niyaz Urf Nala-e-Firaq (Pg. 12)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.