aankhon mein basi mere hai kya yar ki surat
āñkhoñ meñ basī mere hai kyā yaar kī sūrat
aatī hai nazar chaar sū dildār kī sūrat
ai bād-e-sabā bahr-e-ḳhudā kah de sanam se
aa dekh lab-e-jān hai bīmār kī sūrat
vaa.iz na sunā zikr tū hūr-o-qusūr kā
bhātī nahīñ dil ko mire aġhyār kī sūrat
maiñ banda-e-nāchīz huuñ 'aasī huuñ ai 'niyāz'
baḳhshish kī kaise hogī gunahgār kī sūrat
aankhon mein basi mere hai kya yar ki surat
aati hai nazar chaar su dildar ki surat
ai baad-e-saba bahr-e-KHuda kah de sanam se
aa dekh lab-e-jaan hai bimar ki surat
waiz na suna zikr tu hur-o-qusur ka
bhati nahin dil ko mere aghyar ki surat
main banda-e-nachiz hun 'asi hun ai 'niyaz'
baKHshish ki kaise hogi gunahgar ki surat
- Book : Kalam-e-Niyaz Urf Nala-e-Firaq (Pg. 15)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.