haqiqat jis jagah hoti hai tabani batati hai
haqīqat jis jagah hotī hai tābānī batātī hai
koī parde meñ hotā hai to chilman jagmagātī hai
vo aa.e bhī nahīñ aur zindagī kī raat jaatī hai
sahr hotī hai aur sham-e’-tamannā jhilmilātī hai
sitāroñ kā sahārā le ke dhartī baiTh jaatī hai
falak ko dekh kar jis dam ġharībī muskurātī hai
maiñ dāman thāmtā huuñ aur adā dāman chhuḌātī hai
mohabbat hai to kuchh be-gāngī bhī paa.ī jaatī hai
mirī nākāmi-e-ġham zauq-e-hairānī banātī hai
ye duniyā duur se merī nazar meñ jagmagātī hai
sukūt-e-vasl kā lamha bhī kyā bedār-ḳhvābī hai
mohabbat jāgtī hai aur javānī soī jaatī hai
vo jab sanjīda hote haiñ adā añgḌā.ī letī hai
vo jab ḳhāmosh hote haiñ javānī gungunātī hai
zamāna hai ki dil-gīrī meñ afsurda sā rahtā hai
tabī'at hai ki ġhamgīnī meñ jaulānī pe aatī hai
havā-e-dāman-e-nak.hat fazā kā vāsta tum ko
zarā Thahro charāġh-e-zīst kī lau thartharātī hai
musalsal gulshan-e-hastī meñ kāñTe us ne boye haiñ
ye duniyā phir unhīñ kāñToñ se kyuuñ dāman bachātī hai
na ġham fursat hī detā hai na aañsū band hote haiñ
barastā jā rahā hai meñh badlī bantī jaatī hai
yahī hastī 'nushūr' ik roz hai anjām-e-hastī bhī
yahī duniyā kisī manzil pe 'uqbā ho ke aatī hai
haqiqat jis jagah hoti hai tabani batati hai
koi parde mein hota hai to chilman jagmagati hai
wo aae bhi nahin aur zindagi ki raat jati hai
sahr hoti hai aur sham-e’-tamanna jhilmilati hai
sitaron ka sahaara le ke dharti baiTh jati hai
falak ko dekh kar jis dam gharibi muskuraati hai
main daman thamta hun aur ada daman chhuDati hai
mohabbat hai to kuchh be-gangi bhi pai jati hai
meri nakaami-e-gham zauq-e-hairani banati hai
ye duniya dur se meri nazar mein jagmagati hai
sukut-e-wasl ka lamha bhi kya bedar-KHwabi hai
mohabbat jagti hai aur jawani soi jati hai
wo jab sanjida hote hain ada angDai leti hai
wo jab KHamosh hote hain jawani gungunati hai
zamana hai ki dil-giri mein afsurda sa rahta hai
tabi'at hai ki ghamgini mein jaulani pe aati hai
hawa-e-daman-e-nakhat faza ka wasta tum ko
zara Thahro charagh-e-zist ki lau thartharaati hai
musalsal gulshan-e-hasti mein kanTe us ne boye hain
ye duniya phir unhin kanTon se kyun daman bachati hai
na gham fursat hi deta hai na aansu band hote hain
barasta ja raha hai meinh badli banti jati hai
yahi hasti 'nushur' ek roz hai anjam-e-hasti bhi
yahi duniya kisi manzil pe 'uqba ho ke aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.