yahan sajda wahan sajda maaz-allah diwana
yahāñ sajda vahāñ sajda ma.āz-allāh dīvāna
na ka.aba dekhtā hai apne 'ālam meñ na but-ḳhāna
tū merā zikr merī yaad chhoḌ ai husn-e-farzāna
jalā de dāstāñ merī bhulā de merā afsāna
jafā-e-be-hisābāna adā-e-dil-rubāyāna
koī andāz ho lekin hijābāna हिजाबाना
tirī āñkheñ jamāl-e-yār par Thahrīñ to kyā Thahrīñ
nazar ik rishta-e-shabnam tajallī āftābāna
dayār-e-'ishq kī dushvāriyāñ al-’azmatu lillāh
safar pahlā musāfir be-zabāñ aur mulk be-gāna
ma.āz-allāh mai-ḳhāne ke aurād-e-sahar-gāhī
azaañ meñ kah gayā maiñ ek din yā pīr-e-mai-ḳhāna
'nushūr'-e-vāhidī kī bhī ġhazal kyā ḳhuub hotī hai
taḳhayyul pāk-bāzāna magar andāz rindāna
yahan sajda wahan sajda maaz-allah diwana
na kaba dekhta hai apne 'alam mein na but-KHana
tu mera zikr meri yaad chhoD ai husn-e-farzana
jala de dastan meri bhula de mera afsana
jafa-e-be-hisabana ada-e-dil-rubayana
koi andaz ho lekin hijabana हिजाबाना
teri aankhen jamal-e-yar par Thahrin to kya Thahrin
nazar ek rishta-e-shabnam tajalli aaftabana
dayar-e-'ishq ki dushwariyan al-’azmatu lillah
safar pahla musafir be-zaban aur mulk be-gana
maaz-allah mai-KHane ke aurad-e-sahar-gahi
azan mein kah gaya main ek din ya pir-e-mai-KHana
'nushur'-e-wahidi ki bhi ghazal kya KHub hoti hai
taKHayyul pak-bazana magar andaz rindana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.