Sufinama

o dil-e-ruswa use ruswa kiya

Riyaz Khairabadi

o dil-e-ruswa use ruswa kiya

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    o dil-e-rusvā use rusvā kiyā

    kyā kiyā kambaḳht ne kyā kiyā

    mujh ko tum ko ġhair ne rusvā kiyā

    kah bhī do achchhā kiyā achchhā kiyā

    sañg-e-dar sar se judā hotā nahii.

    sajda kar ke dard-e-sar paidā kiyā

    vaah re dast-e-junoñ zor-e-jinnoñ

    chaak tum ne dāman-e-sahrā kiyā

    mai-parastī ḳhudā ko chhoḌ kar

    diin bhī nazr-e-mai-o-mīnā kiyā

    hashr ke din bhī vahī haiñ shoḳhiyāñ

    aaj bhī to va.ada-e-fardā kiyā

    kūdtā kaun aag meñ ai barq-e-tūr

    meñ tamāsha duur se dekhā kiyā

    ai shab-e-furqat na aa.ī tujh ko sharm

    ġhair ke ghar ke muñh kaalā kiyā

    qabr par ubhrā ye jaate tire

    naqsh-e-pā ne hashr barpā kiyā

    us ko bhī husn-e-āfrīn rusvā kare

    ai hasīñ jis ne tujhe rusvā kiyā

    thā hinā se saaz paisā dil ko bhī

    aap ne insāf to achchhā kiyā

    qabr meñ hai aaj o parda-nashīñ

    le tire rusvā ne bhī pardā kiyā

    tauba kar ke aaj phir 'riyāz'

    kyā kiyā kambaḳht ne kyā kiyā

    o dil-e-ruswa use ruswa kiya

    kya kiya kambaKHt tu ne kya kiya

    mujh ko tum ko ghair ne ruswa kiya

    kah bhi do achchha kiya achchha kiya

    sang-e-dar sar se juda hota nahi

    sajda kar ke dard-e-sar paida kiya

    wah re dast-e-junon zor-e-jinnon

    chaak tum ne daman-e-sahra kiya

    mai-parasti ki KHuda ko chhoD kar

    din bhi nazr-e-mai-o-mina kiya

    hashr ke din bhi wahi hain shoKHiyan

    aaj bhi to wada-e-farda kiya

    kudta kaun aag mein ai barq-e-tur

    mein tamasha dur se dekha kiya

    ai shab-e-furqat na aai tujh ko sharm

    ghair ke ghar ja ke munh kala kiya

    qabr par ubhra ye jate hi tere

    naqsh-e-pa ne hashr hi barpa kiya

    us ko bhi husn-e-afrin ruswa kare

    ai hasin jis ne tujhe ruswa kiya

    tha hina se saz paisa dil ko bhi

    aap ne insaf to achchha kiya

    qabr mein hai aaj o parda-nashin

    le tere ruswa ne bhi parda kiya

    tauba kar ke aaj phir pi li 'riyaz'

    kya kiya kambaKHt tu ne kya kiya

    Source :
    • Book : Riyaaz-e-Rizwan (Pg. 178)
    • Author : Riyaz Khairabadi
    • Publication : Kitaab Manzil, Lahore (1961)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now