Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

parde uThe hue bhi hain unki idhar nazar bhi hai

Bedam Shah Warsi

parde uThe hue bhi hain unki idhar nazar bhi hai

Bedam Shah Warsi

MORE BYBedam Shah Warsi

    parde uThe hue bhī haiñ un idhar nazar bhī hai

    baḌh ke muqaddar aazmā sar bhī hai sañg-e-dar bhī hai

    jal ga.ī shāḳh-e-āshiyāñ miT gayā terā gulsitāñ

    bulbul-e-ḳhānmāñ-ḳharāb ab kahīñ terā ghar bhī hai

    ab na vo shaam shaam hai apnī na vo sahar sahar

    hone ko yuuñ to roz shaam bhī hai sahar bhī hai

    chāhe jise banā.iye apnā nishāna-e-nazar

    zad pe tumhāre tiir ke dil bhī hai aur jigar bhī hai

    din ko usī se raushnī shab ko usī se chāñdnī

    sach to ye hai ki rū-e-yār shams bhī hai qamar bhī hai

    zulf-ba-dosh be-naqāb ghar se nikal khaḌe hue

    ab to samajh ga.e huzūr nāloñ meñ kuchh asar bhī hai

    'bedam'-e-ḳhasta mazār aap to chal ke dekhiye

    sham.a banā hai dāġh-e-dil be-kasī-e-nauha-gar bhī hai

    parde uThe hue bhi hain un ki idhar nazar bhi hai

    baDh ke muqaddar aazma sar bhi hai sang-e-dar bhi hai

    jal gai shaKH-e-ashiyan miT gaya tera gulsitan

    bulbul-e-KHanman-KHarab ab kahin tera ghar bhi hai

    ab na wo sham sham hai apni na wo sahar sahar

    hone ko yun to roz hi sham bhi hai sahar bhi hai

    chahe jise banaiye apna nishana-e-nazar

    zad pe tumhaare tir ke dil bhi hai aur jigar bhi hai

    din ko usi se raushni shab ko usi se chandni

    sach to ye hai ki ru-e-yar shams bhi hai qamar bhi hai

    zulf-ba-dosh be-naqab ghar se nikal khaDe hue

    ab to samajh gae huzur nalon mein kuchh asar bhi hai

    'bedam'-e-KHasta ka mazar aap to chal ke dekhiye

    shama bana hai dagh-e-dil be-kasi-e-nauha-gar bhi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now