azm ye dekhna pahunchega sar-e-dar abhi
'azm ye dekhnā pahuñchegā sar-e-dār abhī
jazba-e-ishq ko ik aañch hai darkār abhī
band rahne de darīche ko mire yaar abhī
kuchh na.e log chale ā.eñge be-kār abhī
sola sāvan kī jhaḌī ham ko yahāñ le Duubī
vo ye kahte haiñ adhūrā hai tirā pyaar abhī
kū-e-muflis kī agar baat batā de 'rāhī'
aap ke dard kā ghaT jā.egā me'yār abhī
'azm ye dekhna pahunchega sar-e-dar abhi
jazba-e-ishq ko ek aanch hai darkar abhi
band rahne de dariche ko mere yar abhi
kuchh nae log chale aaenge be-kar abhi
sola sawan ki jhaDi hum ko yahan le Dubi
wo ye kahte hain adhura hai tera pyar abhi
ku-e-muflis ki agar baat bata de 'rahi'
aap ke dard ka ghaT jaega me'yar abhi
- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 385)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.