Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

phūloñ meñ agar hai bū tumhārī

Ameer Minai

phūloñ meñ agar hai bū tumhārī

Ameer Minai

MORE BYAmeer Minai

    phūloñ meñ agar hai tumhārī

    kāñToñ meñ bhī hogī ḳhū tumhārī

    us dil pe hazār jaan sadqe

    jis dil meñ hai aarzū tumhārī

    do din meñ gulū bahār kyā

    rañgat vo rahī na tumhārī

    chaTkā jo chaman meñ ġhuncha-e-gul

    de ga.ī guftugū tumhārī

    mushtāq se duur bhāgtī hai

    itnī hai ajal meñ ḳhū tumhārī

    gardish se hai mahr-o-mah ke sābit

    un ko bhī hai justujū tumhārī

    āñkhoñ se kaho kamī na karnā

    ashkoñ se hai aabrū tumhārī

    lo sard huā maiñ nīm-bismil

    puurī huī aarzū tumhārī

    sab kahte haiñ jis ko lailatul-qadr

    hai kākul-e-mushk-bū tumhārī

    tanhā na phiro 'amīr' shab ko

    hai ghaat meñ har adū tumhārī

    phūloñ meñ agar hai tumhārī

    kāñToñ meñ bhī hogī ḳhū tumhārī

    us dil pe hazār jaan sadqe

    jis dil meñ hai aarzū tumhārī

    do din meñ gulū bahār kyā

    rañgat wo rahī na tumhārī

    chaTkā jo chaman meñ ġhuncha-e-gul

    de gaī guftugū tumhārī

    mushtāq se dur bhāgtī hai

    itnī hai ajal meñ ḳhū tumhārī

    gardish se hai mahr-o-mah ke sābit

    un ko bhī hai justujū tumhārī

    āñkhoñ se kaho kamī na karnā

    ashkoñ se hai aabrū tumhārī

    lo sard huā maiñ nīm-bismil

    purī huī aarzū tumhārī

    sab kahte haiñ jis ko lailatul-qadr

    hai kākul-e-mushk-bū tumhārī

    tanhā na phiro 'amīr' shab ko

    hai ghat meñ har adū tumhārī

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now