phir rahi hai wo bazm aankhon mein
phir rahī hai vo bazm āñkhoñ meñ
yād-e-sohbat bhī ḳhuub sohbat hai
pūchhte ho kyā tum ki maut hai kyā
vo bhī ik ġham-zada kī hasrat hai
vo ga.e hashr jo uThāte the
vo nahīñ haiñ to kyuuñ qayāmat hai
ai fusūñ gar tirā kamāl nahīñ
dil kā denā hamārī 'ādat hai
phir rahi hai wo bazm aankhon mein
yaad-e-sohbat bhi KHub sohbat hai
puchhte ho kya tum ki maut hai kya
wo bhi ek gham-zada ki hasrat hai
wo gae hashr jo uThate the
wo nahin hain to kyun qayamat hai
ai fusun gar tera kamal nahin
dil ka dena hamari 'adat hai
- Book : Intikhab-e-Kalaam-e-Maikash (Pg. 164)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.