phir wahi hai nala-e-dil phir wahi josh-e-junun
phir vahī hai nāla-e-dil phir vahī josh-e-junūñ
phir vahī āh-o-bukā hai phir vahī dard-e-darūñ
josh-e-ulfat se bharā rahtā hai dil āThoñ-pahar
hichkiyāñ le le ke rotā hai muqaddar sar-nigūñ
sar pe hai dhānī dupaTTa dil-pasand ai hūr-vash
la.al-e-lab par hai tabassum phir na kyuuñ ho dil kā ḳhuuñ
phir terā andāz-e-dil-kash dil ko he marġhūb-tar
phir vahī majnūñ huuñ terā phir vahī dīvāna huuñ
hai tamannā dil meñ 'Mardāñ' ki rahe tarfain lutf
vo fidā mujh par ho yā-rab maiñ fidā us par rahūñ
phir wahi hai nala-e-dil phir wahi josh-e-junun
phir wahi aah-o-buka hai phir wahi dard-e-darun
josh-e-ulfat se bhara rahta hai dil aaThon-pahar
hichkiyan le le ke rota hai muqaddar sar-nigun
sar pe hai dhani dupaTTa dil-pasand ai hur-wash
lal-e-lab par hai tabassum phir na kyun ho dil ka KHun
phir tera andaz-e-dil-kash dil ko he marghub-tar
phir wahi majnun hun tera phir wahi diwana hun
hai tamanna dil mein 'Mardan' ki rahe tarfain lutf
wo fida mujh par ho ya-rab main fida us par rahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.