pila de saghar-e-irfan pila de
pilā de sāġhar-e-irfāñ pilā de
banā de aaj matvālā banā de
jamāl-e-āriz-e-tābāñ dikhā de
marīz-e-ġham ko qur.āñ kī havā de
mire dil meñ jagah kar le ḳhudā-rā
mirī ujḌī huī bastī basā de
khaḌā huuñ der se phailā.e dāman
idhar dast-e-karam maulā baḌhā de
paḌā hai kushta-e-andoh-e-hasrat
sadā ik qum-be-iznī kī sunā de
likhī kyā na.at hai allāhu-akbar
ḳhudā-e-pāk mahshar meñ jazā de
pila de saghar-e-irfan pila de
bana de aaj matwala bana de
jamal-e-ariz-e-taban dikha de
mariz-e-gham ko quran ki hawa de
mere dil mein jagah kar le KHuda-ra
meri ujDi hui basti basa de
khaDa hun der se phailae daman
idhar dast-e-karam maula baDha de
paDa hai kushta-e-andoh-e-hasrat
sada ek qum-be-izni ki suna de
likhi kya nat hai allahu-akbar
KHuda-e-pak mahshar mein jaza de
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 131)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.