koi jae tur pe kis liye kahan ab wo KHush-nazari rahi
koi jae tur pe kis liye kahan ab wo KHush-nazari rahi
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
koī jaa.e tuur pe kis liye kahāñ ab vo ḳhush-nazarī rahī
na vo zauq-e-dīda-varī rahā na vo shān-e-jalva-garī rahī
jo ḳhalish ho dil ko sukūñ mile jo tapish ho soz-e-darūñ mile
vo hayāt-e-asl meñ kuchh nahīñ jo hayāt-e-ġham se barī rahī
vo ḳhizāñ kī garm-ravī baḌhī to chaman kā ruup jhulas gayā
koī ġhuncha sar na uThā sakā koī shāḳh-e-gul na harī rahī
mujhe bas tirā hī ḳhayāl thā tirā ruup merā jamāl thā
na kabhī nigāh thī huur par na kabhī nazar meñ parī rahī
tire āstāñ se judā huā to sukūn-e-dil na mujhe milā
mirī zindagī ke nasīb meñ jo rahī to dar-badarī rahī
tirā husn aañkh kā nuur hai tirā lutf vaj.h-e-surūr hai
jo tire karam kī nazar na ho to matā-e'-dil-nazarī rahī
jo tire ḳhayāl meñ gum huā to tamām vasvase miT ga.e
na junūñ kī jāma-darī rahī na ḳhirad kī dard-sarī rahī
mujhe bandagī kā mazā milā mujhe āgahī kā sila milā
tire āstāna-e-nāz par jo dharī jabīñ to dharī rahī
ye mah-o-nujūm kī raushnī tire husn kā partav badal nahīñ
tirā hijr shab kā suhāg thā mire ġham kī maañg bharī rahī
rah-e-'ishq meñ jo huā guzar dil-o-jāñ kī kuchh na rahī ḳhabar
na koī rafīq na ham-safar mire saath be-ḳhabarī rahī
tire hāsidoñ ko malāl hai ye 'nasīr' fan kā kamāl hai
tirā qaul thā jo sanad rahā tirī baat thī jo kharī rahī
koi jae tur pe kis liye kahan ab wo KHush-nazari rahi
na wo zauq-e-dida-wari raha na wo shan-e-jalwa-gari rahi
jo KHalish ho dil ko sukun mile jo tapish ho soz-e-darun mile
wo hayat-e-asl mein kuchh nahin jo hayat-e-gham se bari rahi
wo KHizan ki garm-rawi baDhi to chaman ka rup jhulas gaya
koi ghuncha sar na uTha saka koi shaKH-e-gul na hari rahi
mujhe bas tera hi KHayal tha tera rup mera jamal tha
na kabhi nigah thi hur par na kabhi nazar mein pari rahi
tere aastan se juda hua to sukun-e-dil na mujhe mila
meri zindagi ke nasib mein jo rahi to dar-badari rahi
tera husn aankh ka nur hai tera lutf wajh-e-surur hai
jo tere karam ki nazar na ho to mata-e'-dil-nazari rahi
jo tere KHayal mein gum hua to tamam waswase miT gae
na junun ki jama-dari rahi na KHirad ki dard-sari rahi
mujhe bandagi ka maza mila mujhe aagahi ka sila mila
tere aastana-e-naz par jo dhari jabin to dhari rahi
ye mah-o-nujum ki raushni tere husn ka partaw badal nahin
tera hijr shab ka suhag tha mere gham ki mang bhari rahi
rah-e-'ishq mein jo hua guzar dil-o-jaan ki kuchh na rahi KHabar
na koi rafiq na ham-safar mere sath be-KHabari rahi
tere hasidon ko malal hai ye 'nasir' fan ka kamal hai
tera qaul tha jo sanad raha teri baat thi jo khari rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.