base hain aap mere dil mein umr-bhar ke liye
base hain aap mere dil mein umr-bhar ke liye
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
base haiñ aap mire dil meñ umr-bhar ke liye
sadaf banā thā ye shāyad usī guhar ke liye
balā ḳharīdī hai maiñ ne ye umr-bhar ke liye
tumhārī zulf kā saudā hai mere sar ke liye
jo be-ġharaz na ho jis meñ na ho ḳhulūs koī
salām aise ta.alluq ko umr-bhar ke liye
shab-e-firāq kī lazzat kahāñ nasīb unheñ
duā.eñ māñgte rahte haiñ jo sahar ke liye
huā yahī ki ruke bazm-e-ġhair meñ jākar
irāda karke chale the vo mere ghar ke liye
hamāre dil ko matā-e’-hayāt kab samjhā thā
nishāna chāhiye us shoḳh ko nazar ke liye
jo dāstān-e-ġham-o-dard kā ḳhulāsa ho
mujhe vo ashk hai darkār chashm-e-tar ke liye
havas kī aañkh se ojhal hai bandagī kā maqām
ulū-e-ijz hī me.arāj hai bashar ke liye
adam ko le ke chalā huuñ 'nasīr' dāġh-e-firāq
ye zād-e-rāh bahut hai mujhe safar ke liye
base hain aap mere dil mein umr-bhar ke liye
sadaf bana tha ye shayad usi guhar ke liye
bala KHaridi hai main ne ye umr-bhar ke liye
tumhaari zulf ka sauda hai mere sar ke liye
jo be-gharaz na ho jis mein na ho KHulus koi
salam aise talluq ko umr-bhar ke liye
shab-e-firaq ki lazzat kahan nasib unhen
duaen mangte rahte hain jo sahar ke liye
hua yahi ki ruke bazm-e-ghair mein jakar
irada karke chale the wo mere ghar ke liye
hamare dil ko mata-e’-hayat kab samjha tha
nishana chahiye us shoKH ko nazar ke liye
jo dastan-e-gham-o-dard ka KHulasa ho
mujhe wo ashk hai darkar chashm-e-tar ke liye
hawas ki aankh se ojhal hai bandagi ka maqam
ulu-e-ijz hi mearaj hai bashar ke liye
adam ko le ke chala hun 'nasir' dagh-e-firaq
ye zad-e-rah bahut hai mujhe safar ke liye
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 693)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.