Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

puchhta kaun hai Darta hai tu ai yar abas

Ehsanullah Khan Bayan

puchhta kaun hai Darta hai tu ai yar abas

Ehsanullah Khan Bayan

MORE BYEhsanullah Khan Bayan

    pūchhtā kaun hai Dartā hai ai yaar abas

    qatl karne se mire hai tujhe inkār abas

    kyā mirī aañkh adam biich lagī thī ai charḳh

    kyā us ḳhvāb se ne mujhe bedār abas

    vasl us davā hai mirī bīmārī ko

    aur kuchh karte haiñ tadbīr ye ġham-ḳhvār abas

    yaar tanhā hai phir aisā nahīñ milne vaqt

    sharm hotī hai merī māne-e-guftār abas

    aur bhī un ne 'bayāñ' zulm kuchh afzūd kiyā

    kiyā us shoḳh se tiiñ ishq iz.hār abas

    puchhta kaun hai Darta hai tu ai yar abas

    qatl karne se mere hai tujhe inkar abas

    kya meri aankh adam bich lagi thi ai charKH

    kya us KHwab se tu ne mujhe bedar abas

    wasl hi us ka dawa hai meri bimari ko

    aur kuchh karte hain tadbir ye gham-KHwar abas

    yar tanha hai phir aisa nahin milne ka waqt

    sharm hoti hai meri mane-e-guftar abas

    aur bhi un ne 'bayan' zulm kuchh afzud kiya

    kiya us shoKH se tin ishq ka izhaar abas

    Source :
    • Book : Diwan-e-Bayan Edited: Arjumand Ara (Pg. 91)
    • Author : Ahsanullaah Khan Bayan
    • Publication : Anjumat Taraqqi Urdu (Hind) New Delhi (2004)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now