Sufinama

qāsid us kā payām kuchh bhī hai

Meer Muhammad Bedar

qāsid us kā payām kuchh bhī hai

Meer Muhammad Bedar

MORE BYMeer Muhammad Bedar

    qāsid us payām kuchh bhī hai

    kah duā salām kuchh bhī hai

    suḳhan-e-mehr-ḳhvāh harf-e-itāb

    us ke muñh kalām kuchh bhī hai

    saaf durd-e-bāda-e-gul-gūñ

    sāqī-e-lāla-fām kuchh bhī hai

    kyā ġham-e-hijr kyā surūr-e-visāl

    guzarāñ hai davām kuchh bhī hai

    us ruḳh o zulf se ki duuñ tashbīh

    ḳhūbī-e-sub.h-o-shām kuchh bhī hai

    yaad meñ apne yaar ke rahnā

    behtar aur us se kaam kuchh bhī hai

    jo 'bedār' yuuñ phire hai ḳharāb

    pās-e-nāmūs-o-nām kuchh bhī hai

    qāsid us payām kuchh bhī hai

    kah duā salām kuchh bhī hai

    suḳhan-e-mehr-ḳhwāh harf-e-itāb

    us ke muñh kalām kuchh bhī hai

    saf durd-e-bāda-e-gul-gūñ

    sāqī-e-lāla-fām kuchh bhī hai

    kyā ġham-e-hijr kyā surūr-e-wisāl

    guzarāñ hai dawām kuchh bhī hai

    us ruḳh o zulf se ki duñ tashbīh

    ḳhūbī-e-subh-o-shām kuchh bhī hai

    yaad meñ apne yar ke rahnā

    behtar aur us se kaam kuchh bhī hai

    jo 'bedār' yuñ phire hai ḳharāb

    pās-e-nāmūs-o-nām kuchh bhī hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now