ai gul-badan mera tun chaman se na ja na ja
ai gul-badan merā tuuñ chaman se na jā na jā
ruuhī fidāka ya.anī vatan se na jā na jā
tere qadam kane maiñ banāyā nain kā farsh
āḳhir ai nūr-e-dīda na.iiñ se na jā na jā
vaqt-e-naz.a hai baiTh tū dekheñ tujhe sanam
jān-e-azīz ab to badan se na jā na jā
aane tere se ġham gayā ai māya-e-surūr
ye ġharaz hai ki bait-e-huzn se na jā na jā
jaatā hai yaar chhoḌ ke 'bedil' ko be-qarār
ai aks-e-husn-e-dost tū man se na jā na jā
ai gul-badan mera tun chaman se na ja na ja
ruhi fidaka yani watan se na ja na ja
tere qadam kane main banaya nain ka farsh
aaKHir ai nur-e-dida nain se na ja na ja
waqt-e-naza hai baiTh tu dekhen tujhe sanam
jaan-e-aziz ab to badan se na ja na ja
aane tere se gham gaya ai maya-e-surur
ye gharaz hai ki bait-e-huzn se na ja na ja
jata hai yar chhoD ke 'bedil' ko be-qarar
ai aks-e-husn-e-dost tu man se na ja na ja
- Book : Bedil Jo Urdu Kalam (Pg. 111)
- Author : Faqeer Qadir Bakhsh Bedil
- Publication : Sachchayee Ishaat Ghar, Paksitan (1997)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.