zahid tu pech-e-zulf-e-dota mein na ja na ja
zāhid tū pech-e-zulf-e-dotā meñ na jā na jā
ai be-ḳhabar tuuñ dām-e-balā meñ na jā na jā
har tār-e-mū meñ band hai sāheb-dilāñ ke jaan
aabid tuuñ us kamand-e-jafā meñ na jā na jā
suulī chaḌhāyā ishq kī hājat hallāj kaun
ai musht-e-ḳhāk bahr-e-fanā meñ na jā na jā
rindāñ kī taraf jā ke buzurgī kuuñ chhoḌ de
be-sidq bazm-e-ahl-e-safā meñ na jā na jā
'bedil' na samajh apne ko tā.īñ kabhī tū jism
ai nūr-e-arsh tahtus-surā meñ na jā na jā
zahid tu pech-e-zulf-e-dota mein na ja na ja
ai be-KHabar tun dam-e-bala mein na ja na ja
har tar-e-mu mein band hai saheb-dilan ke jaan
aabid tun us kamand-e-jafa mein na ja na ja
suli chaDhaya ishq ki hajat hallaj kaun
ai musht-e-KHak bahr-e-fana mein na ja na ja
rindan ki taraf ja ke buzurgi kun chhoD de
be-sidq bazm-e-ahl-e-safa mein na ja na ja
'bedil' na samajh apne ko tain kabhi tu jism
ai nur-e-arsh tahtus-sura mein na ja na ja
- Book : Bedil Jo Urdu Kalam (Pg. 112)
- Author : Faqeer Qadir Bakhsh Bedil
- Publication : Sachcayee Ishaat Ghar, Pakistan (1997)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.