hairan hun ki qad tumhaare ko kya kahun
hairān huuñ ki qad tumhāre ko kyā kahūñ
tuubā kahūñ ki sarv ki naḳhl-e-vafā kahūñ
tere husn kī dekh tajallī ai rashk-e-hūr
sūraj kahūñ ki chāñd ki nūr-e-ḳhudā kahūñ
miskīn zulf tere kuuñ ai ġhairat-e-ḳhutan
mār-e-siyah kahūñ ki qaid yā kamand-e-daġhā kahūñ
abr tumhāre kuuñ jo hai ba-shakl hilāl-e-īd
mehrāb-e-sajda tā.at-e-ahl-e-safā kahūñ
tere nain-e-pur-ḳhumār kuuñ sarmast-e-bāda-nāz
yā be-ḳhudī kā jaam yā sahar-e-balā kahūñ
mizhgāñ terī kuuñ jo haiñ jo changul uqaab ke
nāvak kahūñ ki nok-e-sanān-e-jafā kahūñ
ġhamze tere kuuñ jo haiñ sitamgar ġharīb-o-kush
jallād ḳhulq jānūñ ki aafat samāñ kahūñ
ḳhāl-e-siyah tere kuuñ jo hai aks-e-dāġh-e-dil
asvad hajar ke daana murġh-e-havā kahūñ
lab-e-lāl tere se durr-e-dandāñ chamakte haiñ
maiñ is shafaq ke rañg ko parvīñ-numā kahūñ
terī galī kī ḳhaak ko 'bedil' ke vāste
ġhāliya kahūñ abiir kahūñ tūtiyā kahūñ
hairan hun ki qad tumhaare ko kya kahun
tuba kahun ki sarw ki naKHl-e-wafa kahun
tere husn ki dekh tajalli ai rashk-e-hur
suraj kahun ki chand ki nur-e-KHuda kahun
miskin zulf tere kun ai ghairat-e-KHutan
mar-e-siyah kahun ki qaid ya kamand-e-dagha kahun
abr tumhaare kun jo hai ba-shakl hilal-e-id
mehrab-e-sajda taat-e-ahl-e-safa kahun
tere nain-e-pur-KHumar kun sarmast-e-baada-naz
ya be-KHudi ka jam ya sahar-e-bala kahun
mizhgan teri kun jo hain jo changul uqab ke
nawak kahun ki nok-e-sanan-e-jafa kahun
ghamze tere kun jo hain sitamgar gharib-o-kush
jallad KHulq jaanun ki aafat saman kahun
KHal-e-siyah tere kun jo hai aks-e-dagh-e-dil
aswad hajar ke dana murgh-e-hawa kahun
lab-e-lal tere se durr-e-dandan chamakte hain
main is shafaq ke rang ko parwin-numa kahun
teri gali ki KHak ko 'bedil' ke waste
ghaaliya kahun abir kahun tutiya kahun
- Book : Bedil Jo Urdu Kalam (Pg. 122)
- Author : Faqeer Qadir Bakhsh Bedil
- Publication : Sachchayee Ishaat Ghar, Pakistan (1997)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.