na tha hukm tera KHitta-e-nasut mein nafiz
na thā hukm terā ḳhitta-e-nāsūt meñ nāfiz
jo hai farmān-e-ālī mulk aur malakūt meñ nāfiz
terī hasrat-shudāñ kī sair-gah hai ālam-e-arvāh
tumhārā amr thā jab kishvar-e-jabrūt meñ nāfiz
tere haq meñ ḳhudā-e-pāk ne laulāk farmāyā
hukm terā makān-o-lā-makān-e-lāhūt meñ nāfiz
atā tujh se muhibbāñ par thā tāj-e-sharaf-e-mahbūbī
jo hai farmān terā ālam-e-bāhūt meñ nāfiz
terī dargāh se mañgtā hai 'bedil' ishq kī baḳhshish
jo terā amr hai mulk-e-baqā bāhūt meñ nāfiz
na tha hukm tera KHitta-e-nasut mein nafiz
jo hai farman-e-ali mulk aur malakut mein nafiz
teri hasrat-shudan ki sair-gah hai aalam-e-arwah
tumhaara amr tha jab kishwar-e-jabrut mein nafiz
tere haq mein KHuda-e-pak ne laulak farmaya
hukm tera makan-o-la-makan-e-lahut mein nafiz
ata tujh se muhibban par tha taj-e-sharaf-e-mahbubi
jo hai farman tera aalam-e-bahut mein nafiz
teri dargah se mangta hai 'bedil' ishq ki baKHshish
jo tera amr hai mulk-e-baqa bahut mein nafiz
- Book : Bedil Jo Urdu Kalam (Pg. 125)
- Author : Faqeer Qadir Bakhsh Bedil
- Publication : Sachchayee Ishaat Ghar, Pakistan (1997)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.