tere firaq mein ai sanam har rose hai haalam batar
tere firaq mein ai sanam har rose hai haalam batar
Qadir Bakhsh Bedil
MORE BYQadir Bakhsh Bedil
tere firāq meñ ai sanam har rose hai hālam batar
tujh kuuñ hai lāzim dam-ba-dam baḳhshish merī ahvāl par
jab tum chalyā gulzār se ai rashk-e-ḳhūbān-e-chaman
bulbul kahā tab soz suuñ mujh par hai ab roz-e-hashar
ma.ashūq-e-be-parvāh aage garche abas hai iltijā
ushshāq ko behtar nahīñ ziiñ sheva-kār-e-digar
tasvīr kī hājat nahīñ dil ke nigāristān meñ
fāriġh hai bazm-e-ma.anavī az ġhalġhala-e-naf.a-o-zarar
farhād shīrīñ chal ga.e lailā-o-majnūñ beshtar
'bedil' kī naubat aaj hai bā-shāhid-e-shīrīñ-nazar
tere firaq mein ai sanam har rose hai haalam batar
tujh kun hai lazim dam-ba-dam baKHshish meri ahwal par
jab tum chalya gulzar se ai rashk-e-KHuban-e-chaman
bulbul kaha tab soz sun mujh par hai ab roz-e-hashar
mashuq-e-be-parwah aage garche abas hai iltija
ushshaq ko behtar nahin zin shewa-kar-e-digar
taswir ki hajat nahin dil ke nigaristan mein
farigh hai bazm-e-manawi az ghalghala-e-nafa-o-zarar
farhad shirin chal gae laila-o-majnun beshtar
'bedil' ki naubat aaj hai ba-shahid-e-shirin-nazar
- Book : Bedil Jo Urdu Kalam (Pg. 129)
- Author : Faqeer Qadir Bakhsh Bedil
- Publication : Sachchayee Ishaat Ghar, Pakistan (1997)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.