qafas ki tiliyon se le ke shaKH-e-ashiyan tak hai
qafas kī tīliyoñ se le ke shāḳh-e-āshiyāñ tak hai
mirī duniyā yahāñ se hai mirī duniyā vahāñ tak hai
zamīñ se āsmāñ tak āsmāñ se lā-makāñ tak hai
ḳhudā jaane hamāre ishq kī duniyā kahāñ tak hai
ḳhudā jaane kahāñ se jalva-e-jānāñ kahāñ tak hai
vahīñ tak dekh saktā hai nazar jis kī jahāñ tak hai
koī mar kar to dekhe imtihāñ-gāh-e-mohabbat meñ
ki zer-e-ḳhanjar-e-qātil hayāt-e-jāvedāñ tak hai
niyāz-o-nāz kī rūdād-e-husn-o-ishq kā qissa
ye jo kuchh bhī hai sab un kī hamārī dāstāñ tak hai
qafas meñ bhī vahī ḳhvāb-e-pareshāñ dekhtā huuñ maiñ
ki jaise bijliyoñ kī rau falak se āshiyāñ tak hai
ḳhayāl-e-yār ne to aate hī gum kar diyā mujh ko
yahī hai ibtidā to intihā us kī kahāñ tak hai
javānī aur phir un kī javānī ai ma.āz-allāh
mirā dil kyā tah-o-bālā nizām-e-do-jahāñ tak hai
ham itnā bhī na samjhe aql khoī dil gañvā baiThe
ki husn-o-ishq kī duniyā kahāñ se hai kahāñ tak hai
vo sar aur ġhair ke dar par jhuke taubā ma.āz-allāh
ki jis sar kī rasā.ī tere sañg-e-āstāñ tak hai
ye kis kī laash be-gor-o-kafan pāmāl hotī hai
zamīñ jumbish meñ hai barham nizām-e-āsmāñ tak hai
jidhar dekho udhar bikhre haiñ tinke āshiyāne ke
mirī barbādiyoñ kā silsila yā-rab kahāñ tak hai
na merī saḳht-jānī phir na un kī teġh kā dam-ḳham
maiñ us ke imtihāñ tak huuñ vo mere imtihāñ tak hai
zamīñ se āsmāñ tak ek sannāTe kā aalam hai
nahīñ ma.alūm mere dil kī vīrānī kahāñ tak hai
sitamgar tujh se ummīd-e-karam hogī jinheñ hogī
hameñ to dekhnā ye thā ki tū zālim kahāñ tak hai
nahīñ ahl-e-zamīñ par munhasir mātam shahīdoñ kā
qabā-e-nīlgūñ pahne fazā-e-āsmāñ tak hai
sunā hai sūfiyoñ se ham ne aksar ḳhānqāhoñ meñ
ki ye rañgīñ-bayānī 'bedam'-e-rañgīñ-bayāñ tak hai
qafas ki tiliyon se le ke shaKH-e-ashiyan tak hai
meri duniya yahan se hai meri duniya wahan tak hai
zamin se aasman tak aasman se la-makan tak hai
KHuda jaane hamare ishq ki duniya kahan tak hai
KHuda jaane kahan se jalwa-e-jaanan kahan tak hai
wahin tak dekh sakta hai nazar jis ki jahan tak hai
koi mar kar to dekhe imtihan-gah-e-mohabbat mein
ki zer-e-KHanjar-e-qatil hayat-e-jawedan tak hai
niyaz-o-naz ki rudad-e-husn-o-ishq ka qissa
ye jo kuchh bhi hai sab un ki hamari dastan tak hai
qafas mein bhi wahi KHwab-e-pareshan dekhta hun main
ki jaise bijliyon ki rau falak se aashiyan tak hai
KHayal-e-yar ne to aate hi gum kar diya mujh ko
yahī hai ibtida to intiha us ki kahan tak hai
jawani aur phir un ki jawani ai maaz-allah
mera dil kya tah-o-baala nizam-e-do-jahan tak hai
hum itna bhi na samjhe aql khoi dil ganwa baiThe
ki husn-o-ishq ki duniya kahan se hai kahan tak hai
wo sar aur ghair ke dar par jhuke tauba maaz-allah
ki jis sar ki rasai tere sang-e-astan tak hai
ye kis ki lash be-gor-o-kafan pamal hoti hai
zamin jumbish mein hai barham nizam-e-asman tak hai
jidhar dekho udhar bikhre hain tinke aashiyane ke
meri barbaadiyon ka silsila ya-rab kahan tak hai
na meri saKHt-jaani phir na un ki tegh ka dam-KHam
main us ke imtihan tak hun wo mere imtihan tak hai
zamin se aasman tak ek sannaTe ka aalam hai
nahin malum mere dil ki virani kahan tak hai
sitamgar tujh se ummid-e-karam hogi jinhen hogi
hamein to dekhna ye tha ki tu zalim kahan tak hai
nahin ahl-e-zamin par munhasir matam shahidon ka
qaba-e-nilgun pahne faza-e-asman tak hai
suna hai sufiyon se hum ne aksar KHanqahon mein
ki ye rangin-bayani 'bedam'-e-rangin-bayan tak hai
- Book : Nurul-Ain: Mosahhaf-e-Bedam (Pg. 158)
- Author : Bedam Shah Warsi
- Publication : Shaikh Ata Mohammad, Lahore (1935)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.