dil dukhta hai kyun mera usko koi kya jaane
dil dukhtā hai kyuuñ merā us ko koī kyā jaane
is rāz-e-mohabbat ko jaane to ḳhudā jaane
sachchā hai vahī 'āshiq jo rasm-e-vafā jaane
mā'shūq vahī achchhā jo tarz-e-jafā jaane
ai dil koī kyā jaane kyā hai maraz-e-ulfat
is dard ko vo jaane jo is kī davā jaane
miltā hai ḳhudā us ko jo shirk se baaz aa.e
har but ko tah-e-dil se bas shān-e-ḳhudā jaane
har chhoTe baḌe kā hai rutba usī parde meñ
chhoTe ko bhī rutbe meñ apne se baḌā jaane
mālik hai jo is ghar kā pahchāne vahī ghar ko
ai 'qais' mire dil ko kaun is ke sivā jaane
dil dukhta hai kyun mera us ko koi kya jaane
is raaz-e-mohabbat ko jaane to KHuda jaane
sachcha hai wahi 'ashiq jo rasm-e-wafa jaane
ma'shuq wahi achchha jo tarz-e-jafa jaane
ai dil koi kya jaane kya hai maraz-e-ulfat
is dard ko wo jaane jo is ki dawa jaane
milta hai KHuda us ko jo shirk se baz aae
har but ko tah-e-dil se bas shan-e-KHuda jaane
har chhoTe baDe ka hai rutba usi parde mein
chhoTe ko bhi rutbe mein apne se baDa jaane
malik hai jo is ghar ka pahchane wahi ghar ko
ai 'qais' mere dil ko kaun is ke siwa jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.