na dur us se kahin tu ai dil-e-ranjur ho jaana
na duur us se kahīñ tū ai dil-e-ranjūr ho jaanā
ki un se duur honā hai ḳhudā se duur ho jaanā
huā un ko gavārā dil hī meñ mastūr ho jaanā
mubārak dil ke dāġhoñ ko charāġh-e-tūr ho jaanā
tire jalvoñ ko vaqt-e-sub.h maiñ ne kHuub dekhā hai
nikhar kar ḳhuld ban jaanā sañvar kar huur ho jaanā
ye merī sa'ī-e-istiqlāl hī kā ek karishma hai
mohabbat meñ vafā kā dā.imī dastūr ho jaanā
banā kar raaz apnā bhej denā mujh ko duniyā meñ
ḳhud un kā parda-e-asrār meñ mastūr ho jaanā
pata detā hai ai fitrat tirī ḳhud iḳhtiyārī kā
ba-qaid-e-iḳhtiyār insān kā majbūr ho jaanā
jo vo mahfil meñ aa pahuñche to uThnā hī nahīñ mumkin
vo pahle se chalā jaaye jise manzūr ho jaanā
mere dāġh-e-jigar se pūchhiye yā dil ke zaḳhmoñ se
nigāh-e-multafit kā marham-e-kāfūr ho jaanā
dhundalke meñ idhar uThnā hijāb-e-rāz-e-mutlaq kā
udhar dil kā tajalliyāt se mā'mūr ho jaanā
idhar un kā nikalnā parda-e-asrār se bāhar
udhar zulmāt-e-hastī kā sarāpā nuur ho jaanā
anā ko zabt karnā fil-haqīqat saḳht mushkil hai
anal-haq kah ke kuchh mushkil nahīñ mansūr ho jaanā
niyāz 'ishq us ke baa'd maraz-e-mustaqil Thahrā
gavārā kohkan ko kyuuñ huā mazdūr ho jaanā
haqīqat meñ thā ik saḳht inqilāb-e-vaqt ai 'qātil'
judā ajmer se aur lucknow se duur ho jaanā
na dur us se kahin tu ai dil-e-ranjur ho jaana
ki un se dur hona hai KHuda se dur ho jaana
hua un ko gawara dil hi mein mastur ho jaana
mubarak dil ke daghon ko charagh-e-tur ho jaana
tere jalwon ko waqt-e-subh main ne kHub dekha hai
nikhar kar KHuld ban jaana sanwar kar hur ho jaana
ye meri sa'i-e-istiqlal hi ka ek karishma hai
mohabbat mein wafa ka daimi dastur ho jaana
bana kar raaz apna bhej dena mujh ko duniya mein
KHud un ka parda-e-asrar mein mastur ho jaana
pata deta hai ai fitrat teri KHud iKHtiyari ka
ba-qaid-e-iKHtiyar insan ka majbur ho jaana
jo wo mahfil mein aa pahunche to uThna hi nahin mumkin
wo pahle se chala jaye jise manzur ho jaana
mere dagh-e-jigar se pūchhiye ya dil ke zaKHmon se
nigah-e-multafit ka marham-e-kafur ho jaana
dhundalke mein idhar uThna hijab-e-raaz-e-mutlaq ka
udhar dil ka tajalliyat se ma'mur ho jaana
idhar un ka nikalna parda-e-asrar se bahar
udhar zulmat-e-hasti ka sarapa nur ho jaana
ana ko zabt karna fil-haqiqat saKHt mushkil hai
anal-haq kah ke kuchh mushkil nahin mansur ho jaana
niyaz 'ishq us ke ba'd maraz-e-mustaqil Thahra
gawara kohkan ko kyun hua mazdur ho jaana
haqiqat mein tha ek saKHt inqilab-e-waqt ai 'qatil'
juda ajmer se aur lucknow se dur ho jaana
- Book : Diwan-e-Qatil (Pg. 295)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.