tanwir-e-la-makan se takmil-e-ins-o-jaan hai
tanvīr-e-lā-makāñ se takmīl-e-ins-o-jāñ hai
ye kā.ināt 'ālam ik rāz-e-kun-fakāñ hai
vo aaga.ī qayāmat ab vaqt hī kahāñ hai
kyuuñ chheḌte ho nā-haq pur-dard dāstāñ hai
roz-e-hisāb āḳhir itnā baḌā kahāñ hai
jitnī tavīl yā-rab ye ġham kī dāstāñ hai
do din kī zindagī ko kahtā hai kaun jiinā
rāh-e-vafā meñ miTnā ye 'umr-e-jāvedāñ hai
gulshan meñ chand tinke bikhre hue mileñge
ai ham-qafas samajhnā vo merā āshiyāñ hai
har phuul kī ravish meñ har ḳhaar kī ḳhalish meñ
naqsh-e-bahār-e-rañgī dībācha-e-kHizāñ hai
hai jis ke sañg dar par kaunain sar-ba-sajda
ye kis kā āstāñ hai ye kis kā āstāñ hai
'qātil' ġhizā-e-dil hī us tiir kī ḳhalish hai
ye turfa mājrā hai mehmān mezbāñ hai
tanwir-e-la-makan se takmil-e-ins-o-jaan hai
ye kainat 'alam ek raaz-e-kun-fakan hai
wo aagai qayamat ab waqt hi kahan hai
kyun chheDte ho na-haq pur-dard dastan hai
roz-e-hisab aaKHir itna baDa kahan hai
jitni tawil ya-rab ye gham ki dastan hai
do din ki zindagi ko kahta hai kaun jina
rah-e-wafa mein miTna ye 'umr-e-jawedan hai
gulshan mein chand tinke bikhre hue milenge
ai ham-qafas samajhna wo mera aashiyan hai
har phul ki rawish mein har KHar ki KHalish mein
naqsh-e-bahaar-e-rangi dibacha-e-kHizan hai
hai jis ke sang dar par kaunain sar-ba-sajda
ye kis ka aastan hai ye kis ka aastan hai
'qatil' ghiza-e-dil hi us tir ki KHalish hai
ye turfa majra hai mehman mezban hai
- Book : Diwan-e-Qatil (Pg. 300)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.