Sufinama

qatl-e-āshiq kisī mashūq se kuchh dur na thā

Khwaja Meer Dard

qatl-e-āshiq kisī mashūq se kuchh dur na thā

Khwaja Meer Dard

MORE BY Khwaja Meer Dard

  qatl-e-āshiq kisī ma.ashūq se kuchh duur na thā

  par tire ahd se aage to ye dastūr na thā

  raat majlis meñ tire husn ke sho.ale ke huzūr

  sham.a ke muñh pe jo dekhā to kahīñ nuur na thā

  zikr merā vo kartā thā sarīhan lekin

  maiñ ne pūchhā to kahā ḳhair ye mazkūr na thā

  bāvajūde ki par-o-bāl na the aadam ke

  vahāñ pahuñchā ki farishte bhī maqdūr na thā

  parvarish ġham tire yaañ ta.iiñ to dekhā

  koī bhī daaġh thā siine meñ ki nāsūr na thā

  mohtasib aaj to mai-ḳhāne meñ tere hāthoñ

  dil na thā koī ki shīshe tarah chuur na thā

  'dard' ke milne se ai yaar burā kyuuñ maanā

  us ko kuchh aur sivā diid ke manzūr na thā

  qatl-e-āshiq kisī mashūq se kuchh dur na thā

  par tere ahd se aage to ye dastūr na thā

  raat majlis meñ tere husn ke shoale ke huzūr

  shama ke muñh pe jo dekhā to kahīñ nur na thā

  zikr merā wo kartā thā sarīhan lekin

  maiñ ne pūchhā to kahā ḳhair ye mazkūr na thā

  bāwajūde ki par-o-bāl na the aadam ke

  wahāñ pahuñchā ki farishte bhī maqdūr na thā

  parwarish ġham tere yañ taiñ to dekhā

  koī bhī daġh thā sine meñ ki nāsūr na thā

  mohtasib aaj to mai-ḳhāne meñ tere hāthoñ

  dil na thā koī ki shīshe tarah chur na thā

  'dard' ke milne se ai yar burā kyuñ manā

  us ko kuchh aur siwā did ke manzūr na thā

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY